Thursday, May 27, 2021

Sai Sankalan







Dar tere sada sheesh jhukau
har janam bas yehi sukh pau.
har bure khwab ko khwab mein uda diya,
jane kaun sa karam tha mera
Sai ne mujhe apne charno mein rama liya.
shukr karne ko shabd kam hain,
mere baba teri rehmato ke aage sara jeevan kam hai.
Sri Satchitanand Sadguru Sainath Maharaj ki Jai πŸ™πŸ’πŸŒΏπŸ₯₯

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Mein tere charno ka phool ban jau
phool na sahi dhool hi ban jau
kahi to jagah de do mere malik
kahi ghar se beghar na ho jau

Ban ke dhool tere pau ki, apni kismet pe naaz karu
toote hue khwabo mein bhi kuch naya talaash karu
agar ho jaye rehmat teri, to ye itminan karu, ki tu mera hai,mera hai, mera hai πŸ™πŸ™‡πŸΏ‍♀️🌺

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Jo sukh hai Sai tere dham
vaisa kahi nahi aaram
chhor chola bhara maya se ghor
kheench aau baba teri or
vahin to hai vo sunahari bhor jise dhunde har dil,har pal, har chhor .
Baba πŸ™πŸ™‡πŸΏ‍♀️🌺

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Rangi hu jeevan ke har rang mein,
phir bhi hu berang mein
ik tera hi rang hai Sai,
mil jaye to jannat hai meri.,
mere baba, bus yehi ik mannat hai meri. πŸ™πŸ’πŸŒΏπŸ₯₯

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Jaane kaun si hawaon mein udi thi mein
ik chot lagi aur dharti pe aa giri mein.
Pankh diye to udaan bhi de do
jeevan diya hai to zindagi bhi de do
Thoda kam hi sahi baba, lekin apna pyar de do.
jo mein phir ud saku, phir jee saku aur teri mahima gaa saku, aisa dular de doπŸ™πŸ™‡πŸΏ‍♀️🌺

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Kitna todoge marodoge mujhko?
phir bhi chorugi nahi tumko.
thak kar kahi beth gayi to,
haatho mein lathi dene
bhejoge Sai Parivar mein se hi kisi ko😊
kitna bhi todoge marodoge mujhko,
chorugi nahi tumko πŸ˜ŠπŸ™

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Tere charno mein apna sarvasva rakhoo
bus yehi aas karu,
chahe kuch aur mile na mujhko
bus tere paas rahu.

Duniya ke ye jhamele mujhe na bhate baba
chalo chale yaha se door un melo ki or
jaha mujh sang khelte ho, muskurate ho,
gir jau to aage badh kar uthate ho
Chalo chalein dil ki un gehraio mein baba
jaha tum kabhi rulate ho, kabhi hansate ho
ruth jau to phir manate ho
is duniya se bachate ho
andhero mein bhatak jau to raasta dikhate ho.
dar kar simat jau to mamta ke aanchal mein chupate ho....
phir le chalo mujhe baba apni duniya ki or,
is duniya ke dikhavi mele chhor
aur... sada vahin niwas karu
bus yehi aas karu, yehi ardaas karu πŸ™πŸ’πŸŒΏπŸ₯₯

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

sapno mein aa ke mil jaate ho,
mere Sai bada ehsaan kar jaate ho.
dard bhare dil ki dawa ban jaate ho,
is kadr prem ki dhara baha jaate ho
soti hui band akhiyon se bhi neer baha jate ho,
keh nahi sakti kis kadr khushi de jate ho
jab bin kahe apni nagri ki galiyon ki sair kara laate ho
mere Sai bada ehsaan kar jaate ho.

Aur mangu to bus itna tumse Sai
ik ehsaan aur karna
sapno se nikal, kabhi yu bhi aa kar milna
aur na ho sake to kum se kum ye silsila hi zari rakhna.
Mere baba πŸ™πŸ™πŸŒΉπŸŒΉ

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Upne pyar se behad bhara hai dil apne mera baba,
per phir bhi kuch jagah khali hai
Jee bhar kar dekh leti hu aapko ,
per lagta hai abhi bhi kuch baki hai.πŸ™❤❤

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Sai aapki to ek nazar se jhuk jaata hai ye sara brahmand ,
to phir kaise kare aapki mahima ke gungaan,
nacheez ki yeh zubaan ?

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Dil mein chupe bhavo ki zubaan hamesha lafzon mein nahi hoti,
aur lafzon mein hamesha sacchai bhavo ki nahi hoti,
Isi tarah baba to sang sang chalte hain hamesha,
bus unki har waqt awaaz nahi hoti. πŸ™πŸ₯€πŸ₯€πŸ₯€

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

mushkil kitne bhi ho raste,
bus tera sath rahe,
girti bhi rahu yadi dagmag puth par,
tere hone ka sada ehsaas rahe,
manzil milegi na milegi mujhko tu jaane,
per mere sir pe sada tera hath rahe. πŸ™πŸ™πŸ™‡πŸΏ‍♀️

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

tera sath hai to jeevan hai mera
jeevit hone ka ehsaas hai mera.
varna vyarth ginti hai sason ki,
bewajah jeevit rehne ke bahano ki. πŸ™πŸ™πŸ™‡πŸΏ‍♀️

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

is duniya mein na khone dena, ye duniya to sirf maya hai,
meri duniya sirf tere charno mein hai,
jahan meine har sukh paya hai.
kho gayi agar is mayavi duniya mein to jee nahi paugi,
sab sukh hone par bhi khud ko dukhi hi paungi.
aisa kabhi na hone dena mere malik,
jab tak saans rahegi tere hi gun gaungi
Baba πŸ™πŸ™πŸ™❤

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™

Jab se mile hain hum Sai tujhko,
zindagi hi rangeen ho gayi.
Shirdi to mano jannat nahi,
jannat se bhi haseen ho gayi .
log kehte hain ki vo khuda ka ghar hai,
arre meri jaan vo khuda ka hi nahi, khuda ke har bande ka ghar hai
 
jab bulava aaye to tum bhi Shirdi jaana,
vaha ki hawa, paani aur mitti ko maathe se lagana,
maathe se laga usi mein rum jaana,
Baba ke jis pyar mein vaha khinch kar chale gaye,
Vo apne rom rom mein basa laana.
Jab bhi bulava aaye to Shirdi zaroor jaana πŸ™πŸ™❤

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™


Baba ke charno ne aisa deewana banaya hai
Bhagwaan ka har swaroop bus unhi mein paya hai
Mein kyu jau kahi aur unhein chor ke 
Jo naseeb mein nahi tha, vo sukh bhi sirf unhi se paya hai.
Jai Sai Ram πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»❤

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Tere pyar mein aankhein num rahein, 
Isse badh kar koi chah nahi
Zindagi ki jung ko jeetne ki 
Isse badhiya koi rah nahi
Jab sath ho tum mere Baba,
to jung choti hai ya badhi , 
Koi parvah nahi
Bus mere sir pe tera hath rahe,
Kyuki usse upar koi saugaat nahi

Hamare Baba 🌹❤️

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Tumne jo mujhko gale se lagaya, 
Bhul gayi mein ye tun,  mun, ye kaya
Bisar gayi tab sari moh maya
Baba tumne jo mujhko hridya se lagaya.

Karti hu intezaar ki phir mujhe bulaoge,
Apne charno ki khushboo se mujhe kheench le aaoge
Mujh mein is tarah sama jaoge 
Ki phir se na rahega ye tan, na ye man , na ye kaya aur na ho koi bhi moh maya.πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™‡‍♀️

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Teri rehmato pe pal raha hai ye jeevan baba. 
Bus itni meher aur karna ki 
Jo saans aaye, vo bhi tera shukr kare aur jo saans jaye vo bhi tera naam jape 
Aur aane aur jaane wali saanso ke beech ki doori mein bhi bus tu hi basse. 

Teri rehmato pe pal raha hai ye jeevan baba. 
Bus itni meher aur karna ki 
Na hi aham ka ho bhav kahi, 
Na hi koi hasti rahe meri.
Tere charno ki dhooli mein hi har yug 
Ye aatma basi rahe meri.
Sri Satchitanand Sadguru Sainath Maharaj ki Jai πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™‡‍♀️πŸ’

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Andhero mein bhatak rahi hu kahi, yu lagta hai
Per aa kar thaam loge tum Baba, yu lagta haiπŸ™‚πŸ™πŸ»
Hawa se, ik sune se kone mein bujhte hue diye ki tarah ho gayi hu, kabhi yu bhi lagta hai
Per hawa ko thaam, lau ko bacha loge tum , yu lagta hai πŸ™‚πŸ™‚
Tere bharose sab kuch chora hai Baba,
To sambhal hi loge tum, yu lagta hai😊
Dard to ayenge hazaar lekin, 
Sath kabhi bhi na choroge tum, yu lagta hai. 
Baba ❤️

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Aaj phir guruvar aaya hai
mano Baba ka koi tyohaar aaya hai🎊
Pehle guruvar kabhi aisa manmohak na tha
Per jabse mile ho tum Baba,
Har baar tumhara dher sara pyar aur dular laya hai.
Bujhe hue dilon mein 
roshni ki ik kiran laya hai,
Ruthe hue chehro pe muskaan laya hai, 
Ik nayi umeed aur umang laya hai .

Jeevan ke kitne guruvar yu hi nikal gaye,
Khane, pinae aur sone mein chale gaye,
Per ab jab bhi Guruvar aaya hai,
Baba ka kuch khaas pyar bhara ehsaas laya hai..πŸ™πŸ»❤️

πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™


Tere pyar mein aankhein num rahein, 
Isse badh kar koi chah nahi
Zindagi ki jung ko jeetne ki 
Isse badhiya koi rah nahi
Jab sath ho tum mere Baba,
to jung choti hai ya badhi , 
Koi parvah nahi
Bus mere sir pe tera hath rahe,
Kyuki usse upar koi saugaat nahi

Hamare Baba 🌹❤️

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

janmo janam dhudhne per bhi nahi milenge aise bhagwaan,
Jinki mahima gaane ko poora hi na padh paye shabdo ka gyan.
Kis tarah tareef karu mere baba,shabdo mein vo dum nahi jo ban sakein is dil ki zubaan.
sada tere charno mein natmastak reh bus itna kahu ki,tum hi the, tum hi ho aur sirf tum rahoge sada mere guru, mere Sai, mere nath mahaan.

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Mal se bhi meli hai janmo se meri Kaya,
hogi nirmal jab barambaar milegi tere charno ki chaya
Karmo se ho sharminda,
Maili kucheli gathri bani pari hoon bhavya darbar mein tere
Kisi ki mujhpe nazar na pade sivai tere
Shukra Hai Tera mere Baba Jo mujhe darbar mein apne sthan diya
Is layak to mein hargiz na thi, phir bhi mujhko yeh samman diya
Kaise nazre milaoon tumse Baba,
 itni meri aukaat nahi
Tere bhakto ki bheed mein, har janm, mujhe bhi bus thodi si jagah mil jae,
 Issay upar koi murad nahi
πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™‡‍♀️

πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

4 comments:

  1. Natural flow of words from the heart is poetry. Devotion glorifies the ordinary words. God loves poetry and poets. Kabir, Nanak, Tulsidas and Surdas were poets and prophets rolled into one. Keep writing with faith. He listens. Bless you.

    ReplyDelete
  2. Thank you papa. Om Sai Ram πŸ™πŸ™

    ReplyDelete
  3. So niceπŸ₯°πŸ™πŸΌπŸ™πŸΌπŸ™πŸΌπŸ’• Absolutely soul touching πŸ™πŸΌπŸ™πŸΌ❤

    ReplyDelete
  4. Thank you Sai Anupama di. Just a novice attempt at poetic expression for Baba. Om Sai Ram πŸ™πŸ™

    ReplyDelete